SEARCH RESULTS
Showing search results for "rukiye"
Sher MATCHES FOR "rukiye"
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye
zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
Naseer Turabi
Sher
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
uTh ga.ii hai.n saamne se kaisii kaisii suurate.n
ro.iye kis ke liye kis kis kaa maatam kiijiye
Haidar Ali Aatish
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
na jaane log Thaharte hai.n vaqt-e-shaam kahaa.n
hame.n to ghar me.n bhii rukne kaa hauslaa na hu.aa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
vazn har chiiz kii tauqiir ba.Dhaa detaa hai
zindagii bojh sahii phir bhii uThaa.e rakhiye