SEARCH RESULTS
Showing search results for "rulaa"
Sher MATCHES FOR "rulaa"
Sher
charaaG ban ke jalii thii mai.n jis kii mahfil me.n
use rulaa to gayaa kam se kam dhu.aa.n meraa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
pichhlaa baras to KHuun rulaa kar guzar gayaa
kyaa gul khilaa.egaa ye nayaa saal dosto
Farooq Engineer
Sher
furqat-e-yaar me.n insaan huu.n mai.n yaa ki sahaab
har baras aa ke rulaa jaatii hai barsaat mujhe
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ko.ii to aa ke rulaa de ki ha.ns rahaa huu.n mai.n
bahut dino.n se KHushii ko taras rahaa huu.n mai.n
Shaz Tamkanat
Sher
Naresh Kumar Shad
Sher
ko.ii kahaanii ko.ii vaaqi.a sunaa to sahii
agar ha.nsaa nahii.n saktaa mujhe rulaa to sahii
Jawayd Anwar
Sher
nigaah-e-yaas mirii kaam kar ga.ii apnaa
rulaa ke uTThe the vo muskuraa ke baiTh ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
Naseem Bharat Puri
Sher
aaj aa.e the gha.Dii bhar ko 'zahiir'-e-naakaam
aap bhii ro.e hame.n saath rulaa kar uTThe
Zaheer Dehlvi
Sher
na jaane kitne bha.nvar ko rulaa ke aa.ii hai
ye merii kashtii-e-jaa.n KHud ko paar kartii hu.ii
Khursheed Akbar
Sher
ye bachpan ke saathii kii hai qabr 'saahil'
jo sab ko rulaa kar yahaa.n so rahaa hai
Azimuddin Sahil Kalamnoori
Sher
ha.nse vaalo.n ko jo ik pal me.n rulaa sakte hai.n
aise lamhaat bhii to ziist me.n aa sakte hai.n
Masood Tanha
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke