SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruu-ba-ruu"
Sher MATCHES FOR "ruu-ba-ruu"
Sher
aage ba.Dhuu.n to zard ghaTaa mere ruu-ba-ruu
piichhe mu.Duu.n to gard-e-safar mere saamne
Zafar Iqbal
Sher
ye aarzuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftuguu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
misrii kare nabaat tire lab ke ruu-ba-ruu
kyaa kahiye kis qadar tiraa shiirii.n kalaam hai
Munshi Tota Ram shayan
Sher
is maajraa ko jaa ke kahuu.n kis ke ruu-ba-ruu
merii to dau.D haigii tire aastaa.n tilak
nayan sukh
Sher
itnii na intishaar kii hiddat ho ruu-ba-ruu
insaa.n Gam-e-hayaat me.n jaltaa dikhaa.ii de
Azhar Hashmi Sabqat
Sher
allaah re be-KHudii ki ham un ke hii ruu-ba-ruu
be-iKHtiyaar unhii ko pukaare chale ga.e
Shakeel Badayuni
Sher
ramazaa.n me.n tuu na jaa ruu-ba-ruu un ke 'maa.il'
qabl-e-iftaar badal jaa.egii niyyat terii
Ahmad Husain Mail
Sher
kufr par mat ta.an kar ai shaiKH mere ruu-ba-ruu
mujh ko hai ma.aluum kaifiyyat tire islaam kii
Joshish Azimabadi
Sher
ham se vafaa-shi.aar ko bhii tere ruu-ba-ruu
khaanii pa.Dii vafaa kii qasam tere shahr me.n
Anwar Jamal Anwar
Sher
ruu-ba-ruu aa.iine ke mai.n huu.n nazar vo aa.e
ho bhii saktaa hai ye honaa magar aasaan nahii.n
Intesar Husain Abidi Shahid
Sher
phir ke nigaah chaar-suu Thahrii usii ke ruu-ba-ruu
us ne to merii chashm ko qibla-numaa banaa diyaa