SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruu.edaad"
Sher MATCHES FOR "ruu.edaad"
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
fareb-e-jalva kahaa.n tak ba-ruu-e-kaar rahe
naqaab uThaa.o ki kuchh din zaraa bahaar rahe
Akhtar Ali Akhtar
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
ko.ii puuchhe to sahii ham se hamaarii ruudaad
ham to KHud shauq me.n afsaana bane baiThe hai.n
Zaheer Dehlvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
kahii kisii se na ruudaad-e-zindagii mai.n ne
guzaar dene kii shai thii guzaar dii mai.n ne
Salik Lakhnavi
Sher
Betab Azmi
Sher
sun ke ruudaad-e-alam merii vo ha.ns kar bole
aur bhii ko.ii fasaana hai tumhe.n yaad ki bas
Akhtar Muslimi
Sher
aap sharmaa ke na farmaa.e.n hame.n yaad nahii.n
Gair kaa zikr hai ye aap kii ruudaad nahii.n
Bekhud Dehlvi
Sher
yaad mat rakhiyo ye ruudaad hamaarii hargiz
ham the vo taaj-mahal 'jaun' jo Dhaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Sher
ruudaad-e-chaman suntaa huu.n is tarah qafas me.n
jaise kabhii aa.nkho.n se gulistaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
ruudaad-e-shab-e-Gam yuu.n Dartaa huu.n sunaane se
mahfil me.n kahii.n un kii suurat na utar jaa.e
Danish Aligarhi
Sher
yuu.n baaGbaa.n ne mohr lagaa dii zabaan par
ruudaad-e-Gam nasiib ke maare na kah sake
Salam Sandelvi
Sher
mirii qindiil-e-jaa.n jaltii hai shab bhar
zaraa apnii bhii to ruudaad-e-shab likh
Abdussamad ’Tapish’
Sher
tuu ruu-ba-ruu ho to ai ruu-e-yaar tujh se kahe.n
vo harf-e-Gam ki hariif-e-Gam-e-zamaanaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
tasviir-e-ruu-e-yaar dikhaanaa basant kaa
aTkheliyo.n se dil ko lubhaanaa basant kaa