SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruud-e-marg"
Sher MATCHES FOR "ruud-e-marg"
Sher
na chaaragar ke liye mujh me.n ko.ii vasf-e-hayaat
na vaj.h-e-maatam-e-marg aah nauhagar ke liye
Bismil Saeedi
Sher
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaa.n se mirii chhaale na ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
Saail Dehlvi
Sher
sataa lo mujhe zindagii me.n sataa lo
khulegaa pas-e-marg ehsaan kyaa thaa
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
qariib-e-marg huu.n lillaah aa.iina rakh do
gale se mere lipaT jaa.o phir nikhar lenaa
Agha Hajju Sharaf
Sher
'faanii' du.aa-e-marg kii takraar kyaa zaruur
Gaafil nahii.n ki un se taqaazaa kare ko.ii
Fani Badayuni
Sher
'qaa.em' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav me.n hai.n naf.a
is mardumii ke shor pe kis kaam kaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
aashiq kaa baa.nkpan na gayaa baad-e-marg bhii
taKHte pe Gusl ke jo liTaayaa aka.D gayaa
Ameer Minai
Sher
letaa nahii.n kisii kaa pas-e-marg ko.ii naam
duniyaa ko dekhnaa hai to duniyaa se jaa ke dekh
Asad Badayuni
Sher
raahat ke vaaste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aayaa qazaa ke ba.ad
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
shaayad hii raas aa.e mujhe aish-e-marg bhii
'raahii' Gam-e-hayaat kaa maaraa hu.aa huu.n mai.n
Mustafa Rahi
Sher
'taskii.n' ne naam le ke tiraa vaqt-e-marg aah
kyaa jaane kyaa kahaa thaa kisii ne sunaa nahii.n
Taskeen Dehlavi
Sher
har vaqt fikr-e-marg-e-Gariibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahluu mariizaana chaahiye
Majeed Amjad
Sher
ho umr-e-KHizr bhii to ho ma.aluum vaqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaa.n abhii aa.e abhii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
yuu.n rah jahaan me.n ki pas-e-marg ai 'sabaa'
rah jaa.e zikr-e-KHair har ik kii zabaan par
Unknown
Sher
samjhe hai.n ahl-e-sharq ko shaayad qariib-e-marg
maGrib ke yuu.n hai.n jamaa ye zaaG o zaGan tamaam
Hasrat Mohani
Sher
hove na azaab us pe kabhii jis ke pas-e-marg
chhaatii pe ho ta.aviiz tire naqsh-e-qadam kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
saahibaan-e-qasr ko miltii nahii.n hai ba.ad-e-marg
gor me.n sar ke tale takiya kii jaagaa ek KHisht