SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruuh-e-zamii.n"
Sher MATCHES FOR "ruuh-e-zamii.n"
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ruu-e-zamii.n pe chaar arab mere aks hai.n
in me.n se mai.n bhii ek huu.n chaahe kahii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Sher
thaa ruu-e-zamii.n ta.ng zi-bas ham ne nikaalii
rahne ke liye sher ke aalam me.n zamii.n aur
Meer Hasan
Sher
Shibli Nomani
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
jis taraf ko mai.n gayaa rotaa hu.aa
taa-falak ruu-e-zamii.n dariyaa hu.aa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipehr-o-zamii.n
dikhaa.ii detaa hai sab kuchh yahaa.n KHudaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
ruuh-e-badan zaraa sii to ghabraanii chaahiye
tho.Dii bahut to sharm tumhe.n aanii chaahiye
Armaan Jodhpuri
Sher
hame.n jo fikr kii daavat na de sake 'kausar'
vo sher sher to hai ruuh-e-shaa.erii to nahii.n
Kausar Siwani
Sher
jism ne ruuh-e-ravaa.n se ye kahaa turbat me.n
ab mujhe chho.D ke tanhaa tuu kahaa.n jaatii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
dil kii dha.Dkan mire maathe kii shikan hai ki nahii.n
ruuh-e-taqdiir samajh aalam-e-taqdiir na dekh
Hazar Lakhnavi
Sher
aa.ii jo ruuh-e-lailaa ziyaarat ko qais kii
dii ishq ne qanaat ba-gard-e-mazaar baa.ndh