SEARCH RESULTS
Showing search results for "sa.d-sa.d"
Sher MATCHES FOR "sa.d-sa.d"
Sher
guzre hazaar baadal palko.n ke saa.e saa.e
utre hazaar suuraj ik shah-nashiin-e-dil par
Ahmad Mushtaq
Sher
haa.n unhii guzre zamaano.n ke sadaa-saaz hai.n ham
jin ke sho.alo.n pe havaa naachtii dekhii ham ne
Kishwar Naheed
Sher
vo chaahtaa thaa ki dekhe mujhe bikharte hu.e
so us kaa jashn ba-sad-ehtimaam mai.n ne kiyaa
Saud Usmani
Sher
dhuup mujh ko jo liye phirtii hai saa.e saa.e
hai to aavaara magar zehn me.n ghar rakhtii hai
Tahir Faraz
Sher
sau sau tarah ke vasl ne marham rakhe vale
zaKHm-e-firaaq hai.n mire vaise hii tar hanuuz
Meer Hasan
Sher
munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal
aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuuTtii hai
Iftikhar Arif
Sher
saal-haa-saal se KHaamosh the gahre paanii
ab nazar aa.e hai.n aavaaz ke aasaar mujhe
Zafar Iqbal
Sher
Asad Jafri
Sher
mai.n KHud se mil ke kabhii saaf saaf kah duu.ngaa
mujhe pasand nahii.n hai mudaaKHalat apnii
Anjum Saleemi
Sher
Gubaar saa hai sar-e-shaaKH-saar kahte hai.n
chalaa hai qaafila-e-nau-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
aulaad kii kasrat pe hai sau sau yahaa.n qadGan
mai.n sau se ziyaada to bahar-taur karuu.ngaa
Syed Salman Gilani
Sher
sad-haadsaat-e-KHaam hai.n ibrat-nigaah me.n
taariiKH-saaz jurm-o-sazaa se alag-thalag
Rahi Fidai
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
kahiye aa.iina-e-sad-fasl-e-bahaaraa.n tujh ko
kitne phuulo.n kii mahak hai tire pairaahan me.n
Gulnar Aafreen
Sher
puuchhii jo us se mai.n dil-e-sad-chaak kii KHabar
uljhaa ke apnii zulf vo shaane se uTh gayaa