SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaf"
Sher MATCHES FOR "saaf"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
muskuraate hu.e miltaa huu.n kisii se jo 'zafar'
saaf pahchaan liyaa jaaataa huu.n royaa hu.aa mai.n
Zafar Iqbal
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
vo saaf-go hai magar baat kaa hunar siikhe
badan hasii.n hai to kyaa be-libaas aa.egaa
Amardeep Singh
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
saaf inkaar agar ho to tasallii ho jaa.e
jhuuTe va.ado.n se tire ranj sivaa hotaa hai
Qaisar Haideri Dehlvi
Sher
dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham
kahne me.n un ke saamne baat badal badal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
TuuTe but masjid banii mismaar but-KHaana hu.aa
jab to ik suurat bhii thii ab saaf viiraana hu.aa
Rind Lakhnavi
Sher
dil saaf ho kis tarah ki insaaf nahii.n hai
insaaf ho kis tarah ki dil saaf nahii.n hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
saaf aataa hai nazar anjaam har aaGaaz kaa
zindagaanii maut kii tamhiid hai mere liye
Tilok Chand Mahroom
Sher
jo bhii kahnaa hai kaho saaf shikaayat hii sahii
in ishaaraat-o-kinaayaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
saaf jazbo.n ke havaale se to Gam hai.n lekin
ek lamhe kii KHushii ek sadii rahtii hai
Zafar Imam
Sher
misl-e-aa.iina hai us rashk-e-qamar kaa pahluu
saaf idhar se nazar aataa hai udhar kaa pahluu
Meer Khaleeq
Sher
mandir bhii saaf ham ne kiye masjide.n bhii paak
mushkil ye hai ki dil kii safaa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
saaf kah diijiye va.ada hii kiyaa thaa kis ne
uzr kyaa chaahiye jhuuTo.n ke mukarne ke liye
Dagh Dehlvi
Sher
gunaah kar ke bhii ham ri.nd paak-saaf rahe
sharaab pii to nadaamat ne aab aab kiyaa