SEARCH RESULTS
Showing search results for "saam"
Sher MATCHES FOR "saam"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mohabbat kii sultaanii hai sab jagat me.n
ki is sam nahii.n ko.ii gyaanii-o-daanii
Quli Qutub Shah
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
asar-e-naGma-e-shiirii.n se jahaa.n bhuul gayaa
ki sivaa raag ke sam ke hai ko.ii aur bhii sam
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kaafir samaa rahaa hai saarang kaa ye lahraa
table kii taal-o-sam ke har har paran ke andar
Insha Allah Khan Insha
Sher
thaa sam pe ye us parii kaa naqsha
sab aa.nkh milaa kahte the aa
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
ho.nTo.n pe tabassum kaa labaada to nahii.n thaa
ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahii.n thaa
Ahmad Azeem
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
tum ne kiyaa na yaad kabhii bhuul kar hame.n
ham ne tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa diyaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
sab log jidhar vo hai.n udhar dekh rahe hai.n
ham dekhne vaalo.n kii nazar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
Ameer Minai
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to tab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n