SEARCH RESULTS
Showing search results for "sahaab-e-rahmat"
Sher MATCHES FOR "sahaab-e-rahmat"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
abr aa.e to sharaab piye.n baada-KHvaar hai.n
ummiid-vaar-e-rahmat-e-parvardigaar hai.n
Hatim Ali Mehr
Sher
mile qatra qatra ye kyaa zindagii hai
ai dariyaa-e-rahmat vahii tishnagii hai
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
zaahid to baKHshe jaa.e.n gunahgaar mu.nh take.n
ai rahmat-e-KHudaa tujhe aisaa na chaahiye
Muztar Khairabadi
Sher
taufiiq jin ko ma.asiyat-e-ishq kii nahii.n
ai rahmat-e-tamaam gunahgaar vo bhii hai.n
Masood Akhtar Jamal
Sher
ai rahmat-e-tamaam karam jab hai.n be-shumaar
naa-haq mire gunaaho.n kaa phir kyuu.n hisaab ho
Unknown
Sher
hamaare daur kii taariikiyaa.n miTaane ko
sahaab-e-dard se KHushiyo.n kaa chaa.nd ubhraa hai
Khalid Suhail
Sher
Kaifi Hyderabadi
Sher
'faraaz' tuu ne use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaana saahab-e-zar aur sirf shaa.er tuu
Ahmad Faraz
Sher
un kii maanind ko.ii saahab-e-idraak kahaa.n
jo farishte nahii.n samjhe vo bashar samjhe hai.n
Fazal Husain Sabir
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiiragii
saahab-e-iKHtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
Pirzada Qasim
Sher
jo qaidii-e-mehan the 'jamiila' vo chal base
zindaa.n me.n ko.ii saahab-e-zindaa.n nahii.n rahaa
Jameela Khuda Bakhsh
Sher
kii be-zarii falak ne havaale najiib ke
paajii har ek saahab-e-zar aa.e hai nazar
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
yuu.n to har diin me.n hai saahab-e-iimaa.n honaa
ham ko ik but ne sikhaayaa hai musalmaa.n honaa