SEARCH RESULTS
Showing search results for "sail-e-ma.aanii"
Sher MATCHES FOR "sail-e-ma.aanii"
Sher
talaash-e-ma.ani-e-maqsuud itnii sahl na thii
mai.n lafz lafz utartaa gayaa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ai 'fazaa' itnii kushaada kab thii ma.anii kii jihat
mere lafzo.n se ufuq ik duusraa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Arshad Kamal
Sher
imtiyaaz-e-suurat-o-ma.anii se begaana hu.aa
aa.ine ko aa.ina hairaa.n ko hairaa.n dekh kar
Yagana Changezi
Sher
guftuguu-e-suurat-o-ma.anii hai unvaan-e-hayaat
khelte hai.n vo mirii fitrat kii hairaanii ke saath
Akhtar Ali Akhtar
Sher
navaah-e-lafz-o-ma.aanii me.n guu.nj hai kis kii
ko.ii bataa.e ye 'amjad' ki ham bataa.e.nge
Ghufran Amjad
Sher
tundii-e-sail-e-vaqt me.n ye bhii hai ko.ii zindagii
sub.h hu.ii to jii uThe, raat hu.ii to mar ga.e
Hazin Ludhianvi
Sher
Meer Anees
Sher
dhokaa thaa jis pe mauj-e-nasiim-e-bahaar kaa
ik sail-e-be-panaah thaa barq-o-sharaar kaa
Mustafa Rahi
Sher
Shah Naseer
Sher
do kinaare ho.n to sail-e-zindagii dariyaa bane
ek had laazim hai paanii kii ravaanii ke liye
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
tuufaa.n uThaa rahaa hai mire dil me.n sail-e-ashk
vo din KHudaa na laa.e jo mai.n aab-diida huu.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
suuraj ko ye Gam hai ki samundar bhii hai paayaab
yaa rab mire qulzum me.n ko.ii sail-e-ravaa.n aur
Himayat Ali Shayar
Sher
ganjiina-e-ma.anii kaa tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'Gaalib' mire ash.aar me.n aave