SEARCH RESULTS
Showing search results for "sake"
Sher MATCHES FOR "sake"
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
qadam milaa ke zamaane ke saath chal na sake
bahut sambhal ke chale ham magar sambhal na sake
Jigar Barelvi
Sher
ye Gam nahii.n hai ki ham dono.n ek ho na sake
ye ranj hai ki ko.ii darmiyaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Sher
maanaa ki is zamii.n ko na gulzaar kar sake
kuchh KHaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye
Jigar Moradabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse
ham zindagii me.n phir ko.ii armaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Sher
ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge
tuu yaad rahegaa hame.n haa.n yaad rahegaa
Ibn e Insha
Sher
kaafii hai mire dil kii tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paiGaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
arz-o-samaa kahaa.n tirii vus.at ko paa sake
meraa hii dil hai vo ki jahaa.n tuu samaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
mai.n zindagii kii du.aa maa.ngne lagaa huu.n bahut
jo ho sake to du.aa.o.n ko be-asar kar de
Iftikhar Arif
Sher
Nida Fazli
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
dil vo nagar nahii.n ki phir aabaad ho sake
pachhtaa.oge suno ho ye bastii ujaa.D kar
Meer Taqi Meer
Sher
vo log apne aap me.n kitne aziim the
jo apne dushmano.n se bhii nafrat na kar sake