SEARCH RESULTS
Showing search results for "sakht-jaan"
Sher MATCHES FOR "sakht-jaan"
Sher
saKHt jaan-levaa hai saadgii mohabbat kii
zahr kii kasauTii par zindagii ko kastii hai
Ravish Siddiqi
Sher
'ajmal' na aap saa bhii ko.ii saKHt-jaa.n milaa
dekhe.n hai.n ham ne yuu.n to sitam-aashnaa bahut
Ajmal Ajmali
Sher
saKHt-jaa.n huu.n mujhe ik vaar se kyaa hotaa hai
aisii choTe.n ko.ii do-chaar to aane diije
Bekhud Dehlvi
Sher
saKHt-jaa.n vo huu.n ki maqtal se sar-afraaz aayaa
kitnii talvaaro.n ko detaa hu.aa aavaaz aayaa
Parvez Shahidi
Sher
Taashshuq Lakhnavi
Sher
qatl aur mujh se saKHt-jaa.n kaa qatl
teG dekho zaraa kamar dekho
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
saKHt-jaanii me.n bhii niklogii misaalii ya.anii
maar kar mujh ko marogii mujhe ma.aluum na thaa
Roohi Kanjahi
Sher
kaav kaav-e-saKHt-jaanii haa.e-tanhaa.ii na puuchh
sub.h karnaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
Iftikhar Raghib
Sher
zamaana saKHt kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
mohabbat aise kii 'bedaar' saKHt mushkil hai
jo apnii jaan se guzre vo us kii chaah kare
Meer Mohammadi Bedar
Sher
dam na niklaa yaar kii naa-mehrbaanii dekh kar
saKHt hairaa.n huu.n mai.n apnii saKHt-jaanii dekh kar
Sheikh Bimar Ali Bakhsh
Sher
mai.n ne har sang ko paasa.ng kiyaa hai din-raat
saKHt-jaanii hii bataa.egii ki lazzat kaisii