SEARCH RESULTS
Showing search results for "sakhtiyaa.n"
Sher MATCHES FOR "sakhtiyaa.n"
Sher
abhii dilo.n kii tanaabo.n me.n saKHtiyaa.n hai.n bahut
abhii hamaarii du.aa me.n asar nahii.n aayaa
Aftab Hussain
Sher
bajaT kii ka.ii saKHtiyaa.n aur bhii hai.n
''abhii ishq ke imtihaa.n aur bhii hai.n''
Sarfaraz Shahid
Sher
saKHt-jaa.n huu.n mujhe ik vaar se kyaa hotaa hai
aisii choTe.n ko.ii do-chaar to aane diije
Bekhud Dehlvi
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
Taashshuq Lakhnavi
Sher
chaal aur hai duniyaa kii hamaaraa hai chalan aur
vo saaKHt hai kuchh aur ye be-saaKHta-pan aur
Natiq Gulavthi
Sher
qatl aur mujh se saKHt-jaa.n kaa qatl
teG dekho zaraa kamar dekho
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
taasiir ho kyaa KHaak jo baato.n me.n gha.Dat ho
kuchh baat nikaltii hai to be-saaKHta-pan me.n
Ismail Merathi
Sher
'ajmal' na aap saa bhii ko.ii saKHt-jaa.n milaa
dekhe.n hai.n ham ne yuu.n to sitam-aashnaa bahut
Ajmal Ajmali
Sher
saKHt-jaa.n vo huu.n ki maqtal se sar-afraaz aayaa
kitnii talvaaro.n ko detaa hu.aa aavaaz aayaa
Parvez Shahidi
Sher
big.Dii hu.ii hai saarii hasiino.n kii banaavaT
allaah-re aalam tire be-saaKHta-pan kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
raadhaa ke saath saath hai.n sakhiyaa.n bhii baavrii
mohan kii baa.nsurii kaa yahii to kamaal hai
Raghvendra Dwivedi
Sher
saKHtii-ayyaam dau.De aatii hai patthar liye
kyaa miraa naKHl-e-tamannaa baarvar hone lagaa
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
kuchh ham ko imtiyaaz nahii.n saaf o durd kaa
ai saaqiyaan-e-bazm bayaariid harche hast