SEARCH RESULTS
Showing search results for "sako"
Sher MATCHES FOR "sako"
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
yahii hai zindagii kuchh KHvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
yahaa.n kisii ko ko.ii raasta nahii.n detaa
mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
tumhii.n to ho jise kahtii hai naaKHudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubtaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
kisii ke vaaste raahe.n kahaa.n badaltii hai.n
tum apne aap ko KHud hii badal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
vaa.iz na tum piyo na kisii ko pilaa sako
kyaa baat hai tumhaarii sharaab-e-tuhuur kii
Mirza Ghalib
Sher
jo sun sako to ye sab daastaa.n tumhaarii hai
hazaar baar jataayaa magar nahii.n maane
Zehra Nigaah
Sher
samajh sako to samajh lo mirii nigaaho.n se
ki dil kii baat zabaa.n se kahii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
hai merii aa.nkho.n me.n aks-e-navishta-e-diivaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaa.n le lo
Farhan Salim
Sher
tum aa sako to shab ko ba.Dhaa do kuchh aur bhii
apne kahe me.n sub.h kaa taaraa hai in dino.n
Qateel Shifai
Sher
shaayad tum bhii ab na mujhe pahchaan sako
ab mai.n KHud ko apne jaisaa lagtaa huu.n
Azad Gulati
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
na pii sako to idhar aa.o po.nchh duu.n aa.nsuu
ye tum ne sun liye is dil ke saanehaat kahaa.n
Siraj Lakhnavi
Sher
mai.n tumhe.n paa na sakuu.n tum mujhe apnaa na sako
phir yahii khel mirii jaan dubaara ho jaa.e