SEARCH RESULTS
Showing search results for "salaa.ii"
Sher MATCHES FOR "salaa.ii"
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaa.n
mile to us ko hamaaraa ko.ii salaam kahe
Kaleem Aajiz
Sher
ye adaa-e-be-niyaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii be-ruKHii kyaa ki salaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
tumhaare KHat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKHir vo naam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
bulbul Gazal-saraa.ii aage hamaare mat kar
sab ham se siikhte hai.n andaaz guftuguu kaa
Meer Taqi Meer
Sher
agar ye zid hai ki mujh se du.aa salaam na ho
to aisii raah se guzro jo raah-e-aam na ho
Jamill Murassapuri
Sher
Athar Nafees
Sher
qaatil ne kis safaa.ii se dho.ii hai aastii.n
us ko KHabar nahii.n ki lahuu boltaa bhii hai
Iqbal Azeem
Sher
is intizaar me.n baiThe hai.n un kii mahfil me.n
ki vo nigaah uThaa.e.n to ham salaam kare.n
Divakar Rahi
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
dabaa ke qabr me.n sab chal diye du.aa na salaam
zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko