SEARCH RESULTS
Showing search results for "salvaat"
Sher MATCHES FOR "salvaat"
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaa.n
mile to us ko hamaaraa ko.ii salaam kahe
Kaleem Aajiz
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
bhar jaa.e.nge jab zaKHm to aa.uu.ngaa dobaaraa
mai.n haar gayaa ja.ng magar dil nahii.n haaraa
Sarvat Husain
Sher
ye adaa-e-be-niyaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii be-ruKHii kyaa ki salaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Sher
Ahmad Salman
Sher
maut ke darinde me.n ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhii kahte ho.n KHud-kushii ke baare me.n
Sarvat Husain
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Sher
miTTii pe numuudaar hai.n paanii ke zaKHiire
in me.n ko.ii aurat se ziyaada nahii.n gahraa
Sarvat Husain
Sher
kuchal kuchal ke na foot-paath ko chalo itnaa
yahaa.n pe raat ko mazduur KHvaab dekhte hai.n