SEARCH RESULTS
Showing search results for "saman"
Sher MATCHES FOR "saman"
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
apne saamaan ko baa.ndhe hu.e is soch me.n huu.n
jo kahii.n ke nahii.n rahte vo kahaa.n jaate hai.n
Jawad Sheikh
Sher
chand tasviir-e-butaa.n chand hasiino.n ke KHutuut
ba.ad marne ke mire ghar se ye saamaa.n niklaa
Bazm Akbarabadi
Sher
yuu.n barastii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barsaat kii rim-jhim me.n samaa.n hotaa hai
Qateel Shifai
Sher
kuchh allahabad me.n saamaa.n nahii.n bahbuud ke
yaa.n dharaa kyaa hai ba-juz akbar ke aur amruud ke
Akbar Allahabadi
Sher
ab tak na KHabar thii mujhe uj.De hu.e ghar kii
vo aa.e to ghar be-sar-o-saamaa.n nazar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
hosh o havaas o taab o tavaa.n 'daaG' jaa chuke
ab ham bhii jaane vaale hai.n saamaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
nazro.n kii tashaffii kaa bhii kar de ko.ii saamaa.n
dil ke to bahalne ko tiraa naam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
apnii majbuurii ko ham diivaar-o-dar kahne lage
qaid kaa saamaa.n kiyaa aur us ko ghar kahne lage
Shabnam Rumani
Sher
iid me.n iid hu.ii aish kaa saamaa.n dekhaa
dekh kar chaa.nd jo mu.nh aap kaa ai jaa.n dekhaa
Shad Azimabadi
Sher
Iqbal Azeem
Sher
shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaa.n thaa
baGal me.n sanam thaa KHudaa mehrbaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Sher
jis ko KHush rahne ke saamaan mayassar sab ho.n
us ko KHush rahnaa bhii aa.e ye zaruurii to nahii.n
Unknown
Sher
mubaarak mubaarak nayaa saal aayaa
KHushii kaa samaa.n saarii duniyaa pe chhaayaa
Akhtar Shirani
Sher
hame.n KHabar hai vo mehmaan ek raat kaa hai
hamaare paas bhii saamaan ek raat kaa hai