SEARCH RESULTS
Showing search results for "samundar ke"
Sher MATCHES FOR "samundar ke"
Sher
sabhii ko Gam hai samundar ke KHushk hone kaa
ki khel KHatm hu.aa kashtiyaa.n Dubone kaa
Shahryar
Sher
samundar ke kinaare ek bastii ro rahii hai
mai.n itnii duur huu.n aur mujh ko vahshat ho rahii hai
Iftikhar Arif
Sher
ik samundar ke havaale saare KHat kartaa rahaa
vo hamaare saath apne Gam Galat kartaa rahaa
Vilas Pandit Musafir
Sher
Nazeer Azad
Sher
phir se do chaar samundar ke thape.Do.n ne mujhe
ye bataayaa ki mirii maa.n thii jaziira jaisii
Dr. Yasin Aatir
Sher
mai.n ghar basaa ke samundar ke biich soyaa thaa
uThaa to aag kii lapTo.n me.n thaa makaan miraa
Nashtar Khaanqahi
Sher
Rafique Khayal
Sher
bas ek dhun thii samundar ko paar karne kii
mai.n jaantaa thaa samundar ke paar kuchh bhii na thaa
Ain Irfan
Sher
dost ahbaab se lene na sahaare jaanaa
dil jo ghabraa.e samundar ke kinaare jaanaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
ye kaisii baat hu.ii hai ki dekh kar KHush hai
vo aa.nsu.o.n ke samundar ke darmiyaan mujhe
Saqi Faruqi
Sher
ab TuuTne hii vaalaa hai tanhaa.ii kaa hisaar
ik shaKHs chiiKHtaa hai samundar ke aar-paar
Adil Mansuri
Sher
ye log kis kii taraf dekhte hai.n hasrat se
vo kaun hai jo samundar ke paar rahtaa hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
kyaa jaanuu.n chashm-e-tar se udhar dil ko kyaa hu.aa
kis ko KHabar hai 'miir' samundar ke paar kii
Meer Taqi Meer
Sher
kaise hastii ke samundar kaa talaatum Thahre
zindagii bhar yahii tadbiir-e-bashar hotii hai
Khalid Nadeem Budauni
Sher
log to jaa ke samundar ko jalaa aa.e hai.n
mai.n jise phuu.nk kar aayaa vo miraa ghar niklaa