SEARCH RESULTS
Showing search results for "samundar-kashii"
Sher MATCHES FOR "samundar-kashii"
Sher
ai fanaa TuuT sakegii na kabhii kashti-e-umr
mai.n kisii aur samundar me.n utar jaa.uu.ngaa
Asar Sahbai
Sher
sab havaa.e.n le gayaa mere samundar kii ko.ii
aur mujh ko ik kashtii baadbaanii de gayaa
Unknown
Sher
ai samundar kii taraf dekhne vaale tuu ne
apne tuufaa.n kaa nazaara to kiyaa hotaa kabhii
Moid Rasheedi
Sher
kabhii kabhii chhalak uThtaa hai aab o rang un kaa
vagarna dasht to suukhe hu.e samundar hai.n
Shahzad Ahmad
Sher
Asar Sahbai
Sher
band ho jaataa hai kuuze me.n kabhii dariyaa bhii
aur kabhii qatra samundar me.n badal jaataa hai
Faryad Aazar
Sher
us kii tah se kabhii daryaaft kiyaa jaa.uu.ngaa mai.n
jis samundar me.n ye sailaab ikaTThe ho.nge
Umair Najmi
Sher
ye merii kaaGzii kashtii hai aur ye mai.n huu.n
KHabar nahii.n ki samundar kaa faisla kyaa hai
Saud Usmani
Sher
saath saahil pe guzarte hu.e dekhii thii kabhii
yaad hai ab bhii samundar me.n utartii hu.ii shaam
Zia Zameer
Sher
hame.n to apne samundar kii ret kaafii hai
tuu apne chashma-e-be-faiz ko sambhaal ke rakh
Iftikhar Arif
Sher
bahut kashiid kiyaa paaniyo.n ko suuraj ne
samundaro.n kii magar be-karaaniyaa.n na ga.ii.n
Jahangeer Imran
Sher
aa.nkho.n me.n rahaa dil me.n utar kar nahii.n dekhaa
kashtii ke musaafir ne samundar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
Nida Fazli
Sher
hairat se jo yuu.n merii taraf dekh rahe ho
lagtaa hai kabhii tum ne samundar nahii.n dekhaa