SEARCH RESULTS
Showing search results for "saraa"
Sher MATCHES FOR "saraa"
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
mirii apnii aur us kii aarzuu me.n farq ye thaa
mujhe bas vo use saaraa zamaana chaahiye thaa
Bushra Ejaz
Sher
Dushyant Kumar
Sher
Abbas Tabish
Sher
mai.n us ko dekh ke chup thaa usii kii shaadii me.n
mazaa to saaraa isii rasm ke nibaah me.n thaa
Muneer Niyazi
Sher
terii sharto.n pe hii karnaa hai agar tujh ko qubuul
ye suhulat to mujhe saaraa jahaa.n detaa hai
Azhar Faragh
Sher
badan kaa saaraa lahuu khi.nch ke aa gayaa ruKH par
vo ek bosa hame.n de ke surKH-ruu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
Shad Azimabadi
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa
Babar Rehman Shah
Sher
zamii.n ro.ii hamaare haal par aur aasmaa.n royaa
hamaarii bekasii ko dekh kar saaraa jahaa.n royaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
usii kii tarah mujhe saaraa zamaanaa chaahe
vo miraa hone se zyaada mujhe paanaa chaahe