SEARCH RESULTS
Showing search results for "saraab"
Sher MATCHES FOR "saraab"
Sher
ham ko bhii KHush-numaa nazar aa.ii hai zindagii
jaise saraab duur se dariyaa dikhaa.ii de
Mahshar Badayuni
Sher
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud pa.De ham saraab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
vo saamne hai.n magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ki dariyaa saraab jaisaa hai
Unknown
Sher
itnii kuduurat ashk me.n hairaa.n huu.n kyaa kahuu.n
dariyaa me.n hai saraab ki dariyaa saraab me.n
Momin Khan Momin
Sher
so merii pyaas kaa dono.n taraf ilaaj nahii.n
udhar hai ek samundar idhar hai ek saraab
Anjum Khaleeq
Sher
ab to saraab hii se bujhaane lage hai.n pyaas
lene lage hai.n kaam yaqii.n kaa gumaa.n se ham
Rajesh Reddy
Sher
mizaaj alag sahii ham dono.n kyuu.n alag ho.n ki hai.n
saraab o aab me.n poshiida qurbate.n kyaa kyaa
Fuzail Jafri
Sher
mai.n tishna thaa mujhe sar-chashma-e-saraab diyaa
thake badan ko mire pattharo.n me.n daab diyaa
Zeb Ghauri
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
rakhtaa nahii.n hai dasht sarokaar aab se
bahlaa.e jaate hai.n yahaa.n pyaase saraab se
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
jo na kaT sakaa vo nishaan thaa kisii zaKHm kaa
jo na mil sakaa vo saraab thaa ko.ii KHvaab thaa
Bushra Hashmi
Sher
bahut fareb se ham vahshiyo.n ko vahshat hai
hamaare dasht me.n 'naasiKH' kahii.n saraab nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
duniyaa ne mu.nh pe Daalaa hai parda saraab kaa
hote hai.n dau.D dau.D ke tishna-dahan KHaraab
Ahmad Husain Mail
Sher
bikhar ke ret hu.e hai.n vo KHvaab dekhe hai.n
mirii nigaah ne kitne saraab dekhe hai.n
Haneef Kaifi
Sher
qadam qadam ko.ii saaya saa muttasil to rahe
saraab kaa ye sar-e-silsila daraaz to ho