SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarisht"
Sher MATCHES FOR "sarisht"
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
bachpan se len-den thaa us kii sarisht me.n
baato.n me.n kaarobaar se aage na jaa sakaa
Farhat Zahid
Sher
jidhar bhii jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
du.aa.e.n detaa hai amboh-e-kushtgaa.n us ko
Ishrat Zafar
Sher
vo kyaa ki jis ko mayassar hai mustaqil honaa
sarisht-e-zaKHm me.n shaamil hai mundamil honaa
Asim nadeem Asi
Sher
mai.n aap apnii maut kii tayyaariyo.n me.n huu.n
mere KHilaaf aap kii saazish fuzuul hai
Shahid Zaki
Sher
Agha Sarosh
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
Syed Sarosh Asif
Sher
mai.n ne bhejii thii gulaabo.n kii bashaarat us ko
tohfatan us ne bhii KHushbu-e-vafaa bhejii hai
Hamid Sarosh
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ab mujh se kaarobaar kii haalat na puuchhiye
aa.iina bechtaa huu.n mai.n andho.n ke shahar me.n
Mahmood Sarosh
Sher
achchhaa ye karam ham pe tuu sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai