SEARCH RESULTS
Showing search results for "sariye"
Sher MATCHES FOR "sariye"
Sher
vo jhuuT bol rahaa thaa ba.De saliiqe se
mai.n e'tibaar na kartaa to aur kyaa kartaa
Waseem Barelvi
Sher
dil bhii to.Daa to saliiqe se na to.Daa tum ne
bevafaa.ii ke bhii aadaab hu.aa karte hai.n
Mahtab Alam
Sher
mire saliiqe se merii nibhii mohabbat me.n
tamaam umr mai.n naakaamiyo.n se kaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
Unknown
Sher
ko.ii charaag jalaataa nahii.n saliiqe se
magar sabhii ko shikaayat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Sher
tujhe kitaab se mumkin nahii.n faraaG ki tuu
kitaab-KHvaa.n hai magar saahib-e-kitaab nahii.n
Allama Iqbal
Sher
Saail Dehlvi
Sher
dil diyaa jis ne kisii ko vo hu.aa saahib-e-dil
haath aa jaatii hai kho dene se daulat dil kii
Aasi Ghazipuri
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
zamaana aql ko samjhaa hu.aa hai mish.al-e-raah
kise KHabar ki junuu.n bhii hai saahib-e-idraak
Allama Iqbal
Sher
tumhaaraa naam kisii ajnabii ke lab par thaa
zaraa sii baat thii dil ko magar lagii hai bahut
Sadique Naseem
Sher
saaqiyaa ek nazar jaam se pahle pahle
ham ko jaanaa hai kahii.n shaam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ba.De saliiqe se duniyaa ne mere dil ko diye
vo ghaa.o jin me.n thaa sachchaa.iyo.n kaa charkaa bhii
Majeed Amjad
Sher
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho
Imdad Imam Asar
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
Duub jaate hai.n umiido.n ke safiine is me.n
mai.n na maanuu.ngaa ki aa.nsuu hai zaraa saa paanii
Josh Malsiani
Sher
ek saaGar bhii inaayat na hu.aa yaad rahe
saaqiyaa jaate hai.n mahfil tirii aabaad rahe