SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarkashii"
Sher MATCHES FOR "sarkashii"
Sher
isii liye to hai zindaa.n ko justujuu merii
ki muflisii ko sikhaa.ii hai sar-kashii mai.n ne
Ali Sardar Jafri
Sher
jaan ye sarkashii-e-jism tire bas kii nahii.n
merii aaGosh me.n aa laa ye musiibat mujhe de
Farhat Ehsas
Sher
bhuul jaave saahib-e-iqbaal apnii sar-kashii
us ko dikhlaave agar merii bad-iqbaalii dimaaG
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ek sarmastii o hairat hai saraapaa taariik
ek sarmastii o hairat hai tamaam aagaahii
Allama Iqbal
Sher
Dhalte suuraj kii tamaazat ne bikhar kar dekhaa
sar-kashiida miraa saayaa saf-e-ashjaar ke biich
Mohsin Naqvi
Sher
Nomaan Shauque
Sher
aur bhii gahrii ho jaatii hai us kii sargoshii
mujh se kisii kii aa.nkho.n kii jab baate.n kartaa hai
Zeb Ghauri
Sher
shaam kii shaam se sargoshii sunii thii ik baar
bas tabhii se tujhe imkaan me.n rakkhaa hu.aa hai
Naheed Virk
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Gariib shaKHs ko miltaa nahii.n kisii bhii tarah
ye ishq ho gayaa sarkaarii naukrii kii tarah
Hilal Badayuni
Sher
Yusuf Azmi
Sher
kaarzaar-e-ishq-o-sar-mastii me.n nusrat-yaab ho.n
vo junuunii daar tak jaane ko jo betaab huu.n