SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarvat husain"
Sher MATCHES FOR "sarvat husain"
Sher
bhar jaa.e.nge jab zaKHm to aa.uu.ngaa dobaaraa
mai.n haar gayaa ja.ng magar dil nahii.n haaraa
Sarvat Husain
Sher
milnaa aur bichha.D jaanaa kisii raste par
ik yahii qissa aadamiyo.n ke saath rahaa
Sarvat Husain
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
miTTii pe numuudaar hai.n paanii ke zaKHiire
in me.n ko.ii aurat se ziyaada nahii.n gahraa
Sarvat Husain
Sher
'sarvat' tum apne logo.n se yuu.n milte ho
jaise un logo.n se milnaa phir nahii.n hogaa
Sarvat Husain
Sher
mai.n apnii pyaas ke hamraah mashkiiza uThaa.e
ki in sairaab logo.n me.n ko.ii pyaasaa milegaa
Sarvat Husain
Sher
aa.nkhe.n hai.n aur dhuul bharaa sannaaTaa hai
guzar ga.ii hai ajab savaarii yaado.n vaalii
Sarvat Husain
Sher
mai.n aag dekhtaa thaa aag se judaa kar ke
balaa kaa rang thaa ra.ngiini-e-qabaa se udhar
Sarvat Husain
Sher
apne liye tajviiz kii shamshiir-e-barhana
aur us ke liye shaaKH se ik phuul utaaraa
Sarvat Husain
Sher
KHush-libaasii hai ba.Dii chiiz magar kyaa kiije
kaam is pal hai tire jism kii uryaanii se