SEARCH RESULTS
Showing search results for "saunt"
Sher MATCHES FOR "saunt"
Sher
Aleena Itrat
Sher
KHudaa ke haath me.n mat sau.np saare kaamo.n ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa iKHtiyaar bhii rakh
Nida Fazli
Sher
kar ke zaKHmii tuu mujhe sau.np gayaa Gairo.n ko
kaun rakkhegaa mire zaKHm pe marham tujh bin
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tanhaa.iyo.n ko sau.np ke taariikiyo.n kaa zahr
raato.n ko bhaag aa.e ham apne makaan se
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
Gam kii daulat ba.Dii mushkil se milaa kartii hai
sau.np do ham ko agar tum se nigahbaanii na ho
Shahryar
Sher
usii ke KHvaab the saare usii ko sau.np diye
so vo bhii jiit gayaa aur mai.n bhii haaraa nahii.n
Sarfaraz Khalid
Sher
Akhtar Ali Akhtar
Sher
be-navaa hai.n ki tujhe saut-o-navaa bhii dii hai
jis ne dil to.D diye us kii du.aa bhii dii hai
Ada Jafarey
Sher
aaj phir apnii samaa.at sau.np dii us ne hame.n
aaj phir lahja hamaaraa iKHtiyaar us ne kiyaa
Saleem Siddiqui
Sher
vo jaate jaate mujhe apne Gam bhii sau.np gayaa
ajiib Dha.ng nikaalaa hai Gam-gusaarii kaa
Aazim Kohli
Sher
aaKHir jism bhii diivaaro.n ko sau.np ga.e
darvaazo.n me.n aa.nkhe.n dharne vaale log
Daniyal Tareer
Sher
saare shikve duur ho jaa.e.n jo qudarat sau.np de
merii daanaa.ii tujhe aur terii naadaanii mujhe
Sarfaraz Shahid
Sher
saarii hiso.n kii Dor samaa.at ko sau.np kar
is dil pe kaan rakh ki KHudaa boltaa bhii hai
Haris Bilal
Sher
takiya agar nasiib ho zaanu-e-yaar kaa
mai.n aisii nii.nd so.uu.n ki saabit ho mar gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
rag-e-har-saaz ye kahtii hai ki ai naGma-taraaz
mujh ko ik saltanat-e-saut-o-sadaa chaahiye thii
Aslam Ansari
Sher
naala-e-be-saut KHud ban.ne lagaa mohr-e-sukuut
be-zabaanii ko hamaarii ab zabaa.n se kyaa Garaz
Qadr Oraizi
Sher
sau.np kar KHaana-e-dil Gam ko kidhar jaate ho
phir na paa.oge agar us ne ye ghar chho.D diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
ye tirii marzii hai ab chaak ghumaa yaa na ghumaa
KHud ko miTTii kii tarah sau.np diyaa hai mai.n ne
Afzal Ali Afzal
Sher
muTThii me.n kyaa dharii thii ki chupke se sau.np dii
jaan-e-aziiz peshkash-e-naama-bar Galat