SEARCH RESULTS
Showing search results for "saur"
Sher MATCHES FOR "saur"
Sher
Anwar Shuoor
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii
Jan Nisar Akhtar
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
Anwar Shuoor
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
ittifaaq apnii jagah KHush-qismatii apnii jagah
KHud banaataa hai jahaa.n me.n aadmii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
Ameer Minai
Sher
buraa bure ke alaava bhalaa bhii hotaa hai
har aadmii me.n ko.ii duusraa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Sher
Anwar Shuoor
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se