SEARCH RESULTS
Showing search results for "savaab"
Sher MATCHES FOR "savaab"
Sher
shirkat gunaah me.n bhii rahe kuchh savaab kii
tauba ke saath to.Diye botal sharaab kii
Zaheer Dehlvi
Sher
kisii ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhii kabhii ko.ii parda uThaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
ye ajiib maajraa hai ki ba-roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare hai vahii le savaab ulTaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
ab itnii saarii shabo.n kaa hisaab kaun rakhe
ba.De savaab kamaa.e ga.e javaanii me.n
Rahat Indori
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mahsuus bhii ho jaa.e to hotaa nahii.n bayaa.n
naazuk saa hai jo farq gunaah o savaab me.n
Naresh Kumar Shad
Sher
buraa sahii mai.n pa niiyat burii nahii.n merii
mire gunaah bhii kaar-e-savaab me.n likhnaa
Umar Ansari
Sher
is shahr-e-fusuu.n-gar ke azaab aur, savaab aur
hijr aur tarah kaa hai, visaal aur tarah kaa
Khalid Moin
Sher
Mahboob Khizan
Sher
Ghous Mathravi
Sher
zaahid sunaa.uu.n vasf jo apnii sharaab ke
pa.Dhne lage.n daruud farishte savaab ke
Imdad Ali Bahr
Sher
ha.ns ha.ns ke kah rahaa hai jalaanaa savaab hai
zaalim ye meraa dil hai charaaG-e-haram nahii.n
Rasheed Lakhnavi
Sher
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab me.n
piitaa huu.n mai.n sharaab milaa kar gulaab me.n