SEARCH RESULTS
Showing search results for "saz sad"
Sher MATCHES FOR "saz sad"
Sher
guzre hazaar baadal palko.n ke saa.e saa.e
utre hazaar suuraj ik shah-nashiin-e-dil par
Ahmad Mushtaq
Sher
dhuup mujh ko jo liye phirtii hai saa.e saa.e
hai to aavaara magar zehn me.n ghar rakhtii hai
Tahir Faraz
Sher
sau sau tarah ke vasl ne marham rakhe vale
zaKHm-e-firaaq hai.n mire vaise hii tar hanuuz
Meer Hasan
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
saal-haa-saal se KHaamosh the gahre paanii
ab nazar aa.e hai.n aavaaz ke aasaar mujhe
Zafar Iqbal
Sher
sau sau hai.n iltifaat taGaaful me.n yaar ke
begaanagii se us kii ko.ii aashnaa nahii.n
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
'bahzaad' saaf saaf mai.n kahtaa huu.n haal-e-dil
sharminda-e-kamaal mirii shaa.irii nahii.n
Behzad Lakhnavi
Sher
aulaad kii kasrat pe hai sau sau yahaa.n qadGan
mai.n sau se ziyaada to bahar-taur karuu.ngaa
Syed Salman Gilani
Sher
Asad Jafri
Sher
mai.n KHud se mil ke kabhii saaf saaf kah duu.ngaa
mujhe pasand nahii.n hai mudaaKHalat apnii
Anjum Saleemi
Sher
ham ab udaas nahii.n sar-ba-sar udaasii hai.n
hame.n charaaG nahii.n raushnii kahaa jaa.e
Balmohan panday
Sher
munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal
aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuuTtii hai
Iftikhar Arif
Sher
Gubaar saa hai sar-e-shaaKH-saar kahte hai.n
chalaa hai qaafila-e-nau-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
kushta-e-zabt-e-fuGaa.n naGma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aa.nsuu jo lahuu ban ke Tapaktaa hogaa