SEARCH RESULTS
Showing search results for "sehne"
Sher MATCHES FOR "sehne"
Sher
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaa.n 'amjad'
aa.nkh jab KHushk hu.ii aur bhii chehraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
Nushur Wahidi
Sher
sehn-e-chaman ko apnii bahaaro.n pe naaz thaa
vo aa ga.e to saarii bahaaro.n pe chhaa ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
saaqii ghaTaa hai sehn-e-chaman hai bahaar hai
ab kaar-e-KHair me.n tujhe kyaa intizaar hai
Tamanna Emadi
Sher
ye aastaan-e-yaar hai sehn-e-haram nahii.n
jab rakh diyaa hai sar to uThaanaa na chaahiye
Asghar Gondvi
Sher
ye kaun ha.ns ke sehn-e-chaman se guzar gayaa
ab tak hai.n phuul chaak garebaa.n kiye hu.e
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
Anjum Irfani
Sher
ye sehn-e-gulistaa.n nahii.n maqtal hai rafiiqo!
har shaaKH hai talvaar yahaa.n, jaagte rahnaa
Owais Ahmad Dauran
Sher
bijlii giregii sehn-e-chaman me.n kahaa.n kahaa.n
kis shaaKH-e-gulistaa.n pe miraa aashiyaa.n nahii.n
Salam Sandelvi
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa
Abdul Wadood Uhad
Sher
sub.h-dam sehn-e-gulistaa.n me.n sabaa ke jho.nke
aatish-e-dard-e-mohabbat ko havaa dete hai.n
Nayyar Wasti
Sher
ki jaise sehn-e-gulistaa.n me.n pyaar kaa mausam
khulii jo aa.nkh tumhaarii to khul gayaa mausam
Saeed Ahmad Akhtar
Sher
Asar Sahbai
Sher
kuchh na kahne se bhii chhin jaataa hai ejaaz-e-suKHan
zulm sahne se bhii zaalim kii madad hotii hai
Muzaffar Warsi
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
aa ke patthar to mire sehn me.n do-chaar gire
jitne us pe.D ke phal the pas-e-diivaar gire