SEARCH RESULTS
Showing search results for "shaa.ntii"
Sher MATCHES FOR "shaa.ntii"
Sher
tujhe kaun jaantaa thaa mirii dostii se pahle
tiraa husn kuchh nahii.n thaa mirii shaa.irii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
vo dil-navaaz hai lekin nazar-shanaas nahii.n
miraa ilaaj mire chaara-gar ke paas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
Mahender Kumar Sani
Sher
apne atvaar me.n kitnaa ba.Daa shaatir hogaa
zindagii tujh se kabhii jis ne shikaayat nahii.n kii
Zafar Gorakhpuri
Sher
sunaa hai us ko bhii hai sher o shaa.irii se shaGaf
so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
aaj kii raat divaalii hai diye raushan hai.n
aaj kii raat ye lagtaa hai mai.n so saktaa huu.n
Azm Shakri
Sher
sunaa hai aise bhii hote hai.n log duniyaa me.n
ki jin se miliye to tanhaa.ii KHatm hotii hai
Iftikhar Shafi
Sher
badalte vaqt ne badle mizaaj bhii kaise
tirii adaa bhii ga.ii meraa baa.nkpan bhii gayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
sitam to ye hai ki zaalim suKHan-shanaas nahii.n
vo ek shaKHs ki shaa.er banaa gayaa mujh ko
Ahmad Faraz
Sher
jaankaarii khel lafzo.n kaa zabaa.n kaa shor hai
jo bahut kam jaantaa hai vo yahaa.n shah-zor hai
Ahmad Shanas
Sher
kyaa maslahat-shanaas thaa vo aadmii 'qatiil'
majbuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Qateel Shifai
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa