SEARCH RESULTS
Showing search results for "shaan-e-rab"
Sher MATCHES FOR "shaan-e-rab"
Sher
bataa ki ye bhii ko.ii shaan-e-be-niyaazii hai
sunii na haa.e ko.ii tuu ne guftanii apnii
Amjad Najmi
Sher
ataa-e-shaan-e-kariimii 'ajiib hotii hai
kinaaraa KHud hii tah-e-aab se nikal aayaa
Shehzad Anjum Burhani
Sher
us shaan-e-aajizii ke fidaa jis ne 'aarzuu'
har naaz har Guruur ke qaabil banaa diyaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
bande kaa parda shaan-e-ilaahii chhupii hu.ii
KHud ko to chho.D KHaak u.Daayaa to kyaa hu.aa
Yasin Ali Khan Markaz
Sher
ehsaan-e-rab mohabbate.n itnii milii.n 'adiil'
is umr-e-muKHtasar me.n na lauTaa sake.nge ham
Adeel Zaidi
Sher
taraash aur bhii apne tasavvur-e-rab ko
tire KHudaa se to behtar miraa sanam hai abhii
Ata Turab
Sher
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
terii har tarz me.n ik shaan-e-KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
us vaqt se bachaa mujhe ai rabb-e-kaa.inaat
hubb-e-vatan ho dil me.n vatan kaaTne lage
Badr Muneer
Sher
Zafar Iqbal
Sher
rutba-e-kufr hai kis baat me.n kam iimaa.n se
shaukat-e-ka.aba to hai shaan-e-kaliisaa dekho
Rind Lakhnavi
Sher
terii KHaatir jo hu.ii us har shahaadat ko salaam
sarzamiin-e-hind terii shaan-o-shaukat ko salaam
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
ka.abe ko jaataa kis liye hindostaa.n se mai.n
kis but me.n shahr-e-hind ke shaan-e-KHudaa na thii
Rind Lakhnavi
Sher
tajalliyo.n kaa ye aalam ye shaan-e-ra.anaa.ii
banaa hu.aa huu.n ze-sar-taa-qadam tamaashaa.ii
Nudrat Kanpuri
Sher
Aazim Kohli
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
mujh ko KHabar rahii na ruKH-e-be-naqaab kii
hai KHud numuud husn me.n shaan-e-hijaab kii