SEARCH RESULTS
Showing search results for "shamshiir-e-KHuu.n"
Sher MATCHES FOR "shamshiir-e-KHuu.n"
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
zer-e-shamshiir-e-sitam 'miir' ta.Dapnaa kaisaa
sar bhii tasliim-e-mohabbat me.n hilaayaa na gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
apne liye tajviiz kii shamshiir-e-barhana
aur us ke liye shaaKH se ik phuul utaaraa
Sarvat Husain
Sher
Allama Iqbal
Sher
vaqaar-e-KHuun-e-shahiidaan-e-karbalaa kii qasam
yaziid morcha jiitaa hai ja.ng haaraa hai
Divakar Rahi
Sher
ba.Daa shor sunte the pahluu me.n dil kaa
jo chiiraa to ik qatra-e-KHuu.n na niklaa
Haidar Ali Aatish
Sher
zaKHmo.n ko ashk-e-KHuu.n se sairaab kar rahaa huu.n
ab aur bhii tumhaaraa chehra khilaa rahegaa
Ahmad Mahfuz
Sher
ik KHitta-e-KHuu.n me.n kahii.n dariyaa ke kinaare
diivaar-e-zamaana se giraa dhyaan phisal kar
Nasir Shahzad
Sher
zamii.n ke chehre pe ai KHuun malne vaalo suno
zamii.n hilii to tumhe.n KHaak me.n milaa degii
Meraj Naqvi
Sher
likhte rahe junuu.n kii hikaayaat-e-KHuu.n-chakaa.n
har-chand is me.n haath hamaare qalam hu.e
Mirza Ghalib
Sher
haalaat-e-KHuu.n-aashaam se Gaafil nahii.n lekin
ai zulm tire haath pe bai.at nahii.n karte
Raunaq Naeem
Sher
ma.asuum hai ma.asuum bahut amn kii devii
qabze me.n liye KHanjar-e-KHuu.n-KHaar abhii tak