SEARCH RESULTS
Showing search results for "sharminda-e-mehmaa.n"
Sher MATCHES FOR "sharminda-e-mehmaa.n"
Sher
aaj tak sub.h-e-azal se vahii sannaaTaa hai
ishq kaa ghar kabhii sharminda-e-mehmaa.n na hu.aa
Firaq Gorakhpuri
Sher
shab kii shab ko.ii na sharminda-e-ruKHsat Thahre
jaane vaalo.n ke liye sham.e.n bujhaa dii jaa.e.n
Abbas Tabish
Sher
'bahzaad' saaf saaf mai.n kahtaa huu.n haal-e-dil
sharminda-e-kamaal mirii shaa.irii nahii.n
Behzad Lakhnavi
Sher
yaad hai.n aap ke to.De hu.e paimaa.n ham ko
kiijiye aur na sharminda-e-ehsaa.n ham ko
Parvez Shahidi
Sher
dard-e-mahruumii-e-jaaved bhii ik daulat hai
ahl-e-Gam bhii tire sharminda-e-ehsaa.n nikle
Azeem Murtaza
Sher
kisuu mashrab me.n aur maz.hab me.n
zulm ai mehrbaa.n nahii.n hai durust
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
dil miraa zulf setii chhuuT pha.nsaa abruu me.n
kufr kuu.n tark kiyaa maa.il-e-mehraab hu.aa
Siraj Aurangabadi
Sher
haqq-e-mehnat un Gariibo.n kaa samajhte gar amiir
apne rahne kaa makaa.n de Daalte mazduur ko
Munawar Khan Ghafil
Sher
kabhii to mimbar-o-mehraab tak bhii aa.egaa
ye qahr qahr ke asbaab tak bhii aa.egaa
Saeedullah Qureshi
Sher
jo qaidii-e-mehan the 'jamiila' vo chal base
zindaa.n me.n ko.ii saahab-e-zindaa.n nahii.n rahaa
Jameela Khuda Bakhsh
Sher
vahaa.n bhii ko.ii nahii.n thaa KHaraab-haalo.n kaa
mai.n ho ke mimbar-o-mehraab se nikal aayaa
Shehzad Anjum Burhani
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
mai.n ki ek mehnat-kash mai.n ki tiirgii-dushman
sub.h-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se