SEARCH RESULTS
Showing search results for "shauqiin"
Sher MATCHES FOR "shauqiin"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
iqraar me.n kahaa.n hai inkaar kii sii KHuubii
hotaa hai shauq Gaalib us kii nahii.n nahii.n par
Meer Taqi Meer
Sher
Muneer Niyazi
Sher
girte hai.n samundar me.n ba.De shauq se dariyaa
lekin kisii dariyaa me.n samundar nahii.n girtaa
Qateel Shifai
Sher
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shoKHii
simaT ke aa ga.e sab aap kii adaa.o.n me.n
Kalidas Gupta Raza
Sher
sirf ik qadam uThaa thaa Galat raah-e-shauq me.n
manzil tamaam umr mujhe Dhuu.nDhtii rahii
Abdul Hamid Adam
Sher
dhokaa thaa nigaaho.n kaa magar KHuub thaa dhokaa
mujh ko tirii nazro.n me.n mohabbat nazar aa.ii
Shaukat Thanvi
Sher
merii nigaah-e-shauq bhii kuchh kam nahii.n magar
phir bhii tiraa shabaab tiraa hii shabaab hai