SEARCH RESULTS
Showing search results for "shohra-e-naam"
Sher MATCHES FOR "shohra-e-naam"
Sher
Faza Ibn e Faizi
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
'aurat ke KHaal-o-KHad pe bahut daad ho ki ye
mere KHudaa kaa shohra-e-aafaaq she'r hai
Osaama ameer
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
tumhaare ishq me.n ham na.ng-o-naam bhuul ga.e
jahaa.n me.n kaam the jitne tamaam bhuul ga.e
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
jigar kaa daaG chhupaa.o 'qamar' KHudaa ke liye
sitaare TuuTte hai.n un ke diida-e-nam se
Qamar Jalalvi
Sher
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko KHvaab o KHayaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
rone pe agar aa.uu.n to dariyaa ko Dubo duu.n
qatra ko.ii samjhe na mire diida-e-nam ko
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
jitnaa ki hai ifraat tirii kam-nigahii kaa
utnaa hii idhar dekho to ye diida-e-nam hai
nayan sukh
Sher
abhii aaGaaz-e-mohabbat hai kuchh is kaa anjaam
tujh ko ma.aluum hai ai diida-e-nam kyaa hogaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Tapak ke diida-e-nam se sadaa.e.n detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah me.n thaa
Khalid Mubashshir
Sher
ban jaa.e.n merii tarz-e-fanaa kii kahaaniyaa.n
aisaa miTaa ki saahib-e-naam-o-nishaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
subuu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashaan-e-hayaat
shu.aa-e-qahr-e-tabassum charaaG-e-diida-e-nam
Izhaar Malihabadi
Sher
Hasan Abidi
Sher
buto.n me.n ko.ii bhalaa.ii bhii hai sivaa.e sitam
buraa ho teraa dil-e-naa-sazaa kidhar aayaa
Shola Aligarhi
Sher
itnaa dil-e-'na.iim' ko viiraa.n na kar hijaaz
ro.egii mauj-e-ga.ng jo us tak KHabar ga.ii