SEARCH RESULTS
Showing search results for "silsile"
Sher MATCHES FOR "silsile"
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
bazm-e-vafaa sajii to ajab silsile hu.e
shikve hu.e na un se na ham se gile hu.e
Yazdani Jalandhari
Sher
hairato.n ke silsile soz-e-nihaa.n tak aa ga.e
ham nazar tak chaahte the tum to jaa.n tak aa ga.e
Qabil Ajmeri
Sher
nazro.n ke silsile the rishta ko.ii na thaa
kis se kare.n shikaayat apnaa ko.ii na thaa
Ehsas magahri
Sher
yuu.n jaagne lage tirii yaado.n ke silsile
suuraj galii galii se nikaltaa dikhaa.ii de
Ahmad Wasi
Sher
phir aa.ii zulf-e-musalsal kii lahr pesh-e-nazar
phir ik junuu.n ke na.e silsile hu.e dil me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
mai.n kis yaqiin se likkhaa gayaa huu.n miTTii par
vo kaun hai jo mire silsile kii Dhaal banaa
KHalid Malik Sahil
Sher
nahii.n nasiib me.n manzil to raaste kyo.n hai.n
taviil-tar ye judaa.ii ke silsile kyo.n hai.n
Farah Khan
Sher
Farhan Hanif Warsi
Sher
hame.n to saa.ns bhii lene kii fursate.n na rahii.n
kisii kii yaad ke mu.nh-zor silsile hai.n bahut
Bushra Bakhtiyar Khan
Sher
vo ek aks ki pal bhar nazar me.n Thahraa thaa
tamaam umr kaa ab silsila hai mere liye
Rajinder Manchanda Bani
Sher
zindagii ik haadsa hai aur kaisaa haadsa
maut se bhii KHatm jis kaa silsila hotaa nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
ik silsila havas kaa hai insaa.n kii zindagii
is ek musht-e-KHaak ko Gam do-jahaa.n ke hai.n