SEARCH RESULTS
Showing search results for "sivaa"
Sher MATCHES FOR "sivaa"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kuchh nazar aataa nahii.n us ke tasavvur ke sivaa
hasrat-e-diidaar ne aa.nkho.n ko andhaa kar diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ham kyaa kare.n agar na tirii aarzuu kare.n
duniyaa me.n aur bhii ko.ii tere sivaa hai kyaa
Hasrat Mohani
Sher
duniyaa ke sitam yaad na apnii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahii.n kuchh bhii mohabbat ke sivaa yaad
Jigar Moradabadi
Sher
kaam ab ko.ii na aa.egaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hai.n sab kuucha-e-qaatil ke sivaa
Ali Sardar Jafri
Sher
adhuurii chho.D ke tasviir mar gayaa vo 'zeb'
ko.ii bhii rang mayassar na thaa lahuu ke sivaa
Zeb Ghauri
Sher
tire sivaa bhii kahii.n thii panaah bhuul ga.e
nikal ke ham tirii mahfil se raah bhuul ga.e
Majrooh Sultanpuri
Sher
aabaad mujh me.n tere sivaa aur kaun hai?
tujh se bichha.D rahaa huu.n tujhe kho nahii.n rahaa
Irfan Sattar
Sher
saaf inkaar agar ho to tasallii ho jaa.e
jhuuTe va.ado.n se tire ranj sivaa hotaa hai
Qaisar Haideri Dehlvi
Sher
ishva bhii hai shoKHii bhii tabassum bhii hayaa bhii
zaalim me.n aur ik baat hai is sab ke sivaa bhii
Akbar Allahabadi
Sher
KHudaa ko maan ki tujh lab ke chuumne ke sivaa
ko.ii ilaaj nahii.n aaj kii udaasii kaa
Zafar Iqbal
Sher
Iqbal Sajid
Sher
baat kaa zaKHm hai talvaar ke zaKHmo.n se sivaa
kiijiye qatl magar mu.nh se kuchh irshaad na ho
Dagh Dehlvi
Sher
dost do-chaar nikalte hai.n kahii.n laakho.n me.n
jitne hote hai.n sivaa utne hii kam hote hai.n