SEARCH RESULTS
Showing search results for "so.e-panghat"
Sher MATCHES FOR "so.e-panghat"
Sher
ai zindagii junuu.n na sahii be-KHudii sahii
tuu kuchh bhii apnii aql se paagal uThaa to laa
Natiq Gulavthi
Sher
log kahte hai.n mujhe is liye tanhaa.ii-pasand
mujh se paagal ko kahii.n paas biThaanaa na pa.De
Salman Saeed
Sher
nasheb-e-hastii se afsos ham ubhar na sake
faraaz-e-daar se paiGaam aa.e hai.n kyaa kyaa
Kaifi Azmi
Sher
dushman se aise kaun bhalaa jiit paa.egaa
jo dostii ke bhes me.n chhup kar daGaa kare
Saleem Siddiqi
Sher
baraabar ek pyaasii ruuh kii aavaaz aatii hai
ku.o.n se pan-ghaTo.n se naddiyo.n se aabshaaro.n se
Kaif Bhopali
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
phaa.ndnii pa.D ga.ii kaa.nTo.n se bharii baa.D hame.n
jitne paiGaam the phuulo.n kii zabaanii aa.e
Zakariya Shaz
Sher
Dar hai na dupaTTa kahii.n siine se sarak jaa.e
pa.nkhaa bhii hame.n paas se jhalne nahii.n dete
Riyaz Khairabadi
Sher
Yaqoob Yawar
Sher
dil bhii paagal hai ki us shaKHs se vaabasta hai
jo kisii aur kaa hone de na apnaa rakkhe
Ahmad Faraz
Sher
har taraf chhaa ga.e paiGaam-e-mohabbat ban kar
mujh se achchhii rahii qismat mere afsaano.n kii
Jigar Moradabadi
Sher
chhe.D maashuuq se kiije to zaraa tham tham kar
roz ke naama o paiGaam bure hote hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
diivaaro.n se mil kar ronaa achchhaa lagtaa hai
ham bhii paagal ho jaa.e.nge aisaa lagtaa hai
Qaisarul Jafri
Sher
vo ishq ko kis tarah samajh paa.egaa jis ne
sahraa se gale milte samundar nahii.n dekhaa
Humaira Rahat
Sher
nafrat se bachaa kar tuu ulfat ko sajaa dil me.n
paiGaam mohabbat kaa har baar diye jaanaa