SEARCH RESULTS
Showing search results for "so.uu.n"
Sher MATCHES FOR "so.uu.n"
Sher
takiya agar nasiib ho zaanu-e-yaar kaa
mai.n aisii nii.nd so.uu.n ki saabit ho mar gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii
Jan Nisar Akhtar
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
Ameer Minai
Sher
ek din kah liijiye jo kuchh hai dil me.n aap ke
ek din sun liijiye jo kuchh hamaare dil me.n hai
Josh Malihabadi
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Gam aur hotaa sun ke gar aate na vo 'vasiim'
achchhaa hai mere haal kii un ko KHabar nahii.n
Waseem Barelvi
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
tum sun ke kyaa karoge kahaanii Gariib kii
jo sab kii sun rahaa hai kahe.nge usii se ham
Bismil Azimabadi
Sher
tayyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-huur
jalva buto.n kaa dekh ke niiyat badal ga.ii