SEARCH RESULTS
Showing search results for "sohbat-e-ahbaab"
Sher MATCHES FOR "sohbat-e-ahbaab"
Sher
daaG-e-firaaq-e-sohbat-e-shab kii jalii hu.ii
ik sham.a rah ga.ii hai so vo bhii KHamosh hai
Mirza Ghalib
Sher
Humaira Rahat
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
kise Dhuu.nDtaa huu.n mai.n apne qurb-o-javaar me.n
ai firaaq-e-sohbat-e-dostaa.n mujhe kyaa hu.aa
Faizi
Sher
mai.n be-hunar thaa magar sohbat-e-hunar me.n rahaa
shu.uur baKHshaa hama-ra.ng mahfilo.n ne mujhe
Nasir Zaidi
Sher
sohbat-e-vasl hai masduud hai.n dar haa.e hijaab
nahii.n maaluum ye kis aah se sharam aatii hai
Shad Lakhnavi
Sher
sohbat-e-shaiKH me.n tuu raat ko jaayaa mat kar
vo sikhaa degaa tujhe jaan namaaz-e-ma.akuus
Taban Abdul Hai
Sher
kis liye karte ho tum harf-e-malaamat se gurez
ham kahaa.n sohbat-e-jibriil me.n rahne vaale
Shahid Kamal
Sher
saaf kyaa ho sohbat-e-zaahir se baatin kaa Gubaar
mu.nh nazar aataa nahii.n aa.iina-e-tasviir me.n
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
chaahiye ek mulaaqaat mahiine me.n zaruur
taazgii halqa-e-ahbaab me.n aa jaatii hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
zaahidaa tuu sohbat-e-rindaa.n me.n aayaa hai to sun
tark gaalii kaa na kar pag.Dii utarne se na Dar
Waliullah Muhib
Sher
ik halqa-e-ahbaab hai tanhaa.ii bhii us kii
ik ham hai.n ki har bazm me.n tanhaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Sher
KHudaa kaa shukr hai girdaab se nikal aayaa
mai.n us ke halqa-e-ahbaab se nikal aayaa
Mahboob Zafar
Sher
jo jaan chhi.Dakte the vahii kahte hai.n mujh se
tuu halqa-e-ahbaab me.n shaamil hii kahaa.n thaa