SEARCH RESULTS
Showing search results for "soz-e-naa-tamaam"
Sher MATCHES FOR "soz-e-naa-tamaam"
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
aaho.n se soz-e-ishq miTaayaa na jaa.egaa
phuu.nko.n se ye charaaG bujhaayaa na jaa.egaa
Ameer Minai
Sher
KHaalii na andaliib kaa soz-e-nafas gayaa
vo luu chalii ki rang gulo.n kaa jhulas gayaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
laazim hai soz-e-ishq kaa sho.ala ayaa.n na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhu.aa.n na ho
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
kaaGaz tamaam kilk tamaam aur ham tamaam
par daastaan-e-shauq abhii naa-tamaam hai
Aadil Aseer Dehlvi
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaa.n se mirii chhaale na ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
garmii-e-dair-o-haram se na miTii dil kii tapish
kar liyaa soz-e-jigar se hii sharaara paidaa
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Ashar Najmi
Sher
chhe.Diye saaz-e-zindagii naGma-navaaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz me.n saaz ho na ho
Hayat Amrohvi
Sher
aah-e-pur-soz kii taasiir burii hotii hai
KHush rahe.nge na Gariibo.n ko sataane vaale
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dil-e-hariis hii apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam me.n to kuchh kamii na rahii
Soz Hoshiarpuri
Sher
kal vasl me.n bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
ek ek baat par thii la.Daa.ii tamaam shab