SEARCH RESULTS
Showing search results for "sroeda"
Sher MATCHES FOR "sroeda"
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.ndhe
tab mai.n ne apne dil me.n laakho.n KHayaal baa.ndhe
Mohammad Rafi Sauda
Sher
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai
sar me.n saudaa ho to diivaar me.n dar bantaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
saudaa-garii nahii.n ye ibaadat KHudaa kii hai
ai be-KHabar jazaa kii tamannaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Sada Ambalvi
Sher
Munawwar Rana
Sher
kaifiyyat-e-chashm us kii mujhe yaad hai 'saudaa'
saaGar ko mire haath se liijo ki chalaa mai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
'saudaa' jo be-KHabar hai vahii yaa.n kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hai.n aagahii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol KHaandaan kii izzat pe harf hai
Syeda Arshia Haq
Sher
gila likhuu.n mai.n agar terii bevafaa.ii kaa
lahuu me.n Garq safiina ho aashnaa.ii kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas