SEARCH RESULTS
Showing search results for "suu-e-husain-ibn-e-alii"
Sher MATCHES FOR "suu-e-husain-ibn-e-alii"
Sher
husain-ibn-e-alii karbalaa ko jaate hai.n
magar ye log abhii tak gharo.n ke andar hai.n
Shahryar
Sher
kahne ko faqat ibn-e-alii ibn-e-alii hai.n
dekho to kahii.n jazba-e-haidar nahii.n miltaa
Ahsan Gulfam
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
sab qatl ho ke tere muqaabil se aa.e hai.n
ham log surKH-ruu hai.n ki manzil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ko u.Dne ke tariiqe na sikhaa.o ham log
pe.D se aa.e hai.n pi.njre se nahii.n aa.e hai.n
Saleem Siddiqui
Sher
ruKHsat hu.aa shabaab to ab aap aa.e hai.n
ab aap hii bataa.iye sarkaar kyaa kare.n
Ameer Chand Bahar
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
fitrat kaa agar shor-e-hasii.n Gaur se suniye
phir asl mohabbat ke hai.n haqdaar parinde
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
dil kaa lahuu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-Gam me.n aisii bhii manzil se aa.e hai.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
kuchh nau-javaan shahr se aa.e hai.n lauT kar
ab daav par lagii hu.ii izzat hai gaa.nv kii
Nusrat Gwaliari
Sher
puuchho zaraa ye kaun sii duniyaa se aa.e hai.n
kuchh log kah rahe hai.n hame.n ko.ii Gam nahii.n
aqeel nomani
Sher
zaraa naqaab-e-hasii.n ruKH se tum ulaT denaa
ham apne diida-o-dil kaa Guruur dekhe.nge
Shakeel Badayuni
Sher
uTh kar to aa ga.e hai.n tirii bazm se magar
kuchh dil hii jaantaa hai ki kis dil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
hai ain-e-vasl me.n bhii mirii chashm suu-e-dar
lapkaa jo pa.D gayaa hai mujhe intizaar kaa