SEARCH RESULTS
Showing search results for "ta aruf aur mutale"
Sher MATCHES FOR "ta aruf aur mutale"
Sher
laa.e jab ghar se to behosh pa.Daa thaa 'aarif'
ho gayaa aan ke hoshiyaar tire kuuche me.n
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
ko.ii din aage bhii zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle kii masjid sharaab-KHaana thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
Gariib-e-shahr to faaqe se mar gayaa 'aarif'
amiir-e-shahr ne hiire se KHud-kushii kar lii
Arif Shafiq
Sher
dam kaa aanaa to ba.Dii baat hai lab par 'aarif'
zo.af ne harf-e-shikaayat kabhii aane na diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
ik KHvaab hii to thaa jo faraamosh ho gayaa
ik yaad hii to thii jo bhulaa dii ga.ii to kyaa
Iftikhar Arif
Sher
miTaane vaale hamaaraa hii ghar miTaanaa thaa
chaman me.n ek se ek achchhaa aashiyaanaa thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
thaa e'timaad-e-husn se tuu is qadar tahii
aa.iina dekhne kaa tujhe hausla na thaa
Arif Abdul Mateen
Sher
biich me.n hai mere us ke tuu hii ai aah-e-hazii.n
sulh kyuu.nkar hove jab tak darmiyaa.n ko.ii na ho
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ab shor hai misaal-e-juudii is KHiraam ko
yuu.n kaun jaantaa thaa qayaamat ke naam ko
Momin Khan Momin
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
abhii to mai.n ne faqat baarisho.n ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhii dekhnaa hai mujhe
Arif Imam
Sher
na aa.e saamne mere agar nahii.n aataa
mujhe to us ke sivaa kuchh nazar nahii.n aataa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
haa.n ai falak-e-piir javaa.n thaa abhii aarif
kyaa teraa biga.Dtaa jo na martaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
mai.n jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa
miTTii bataa rahii hai vo paikar miraa na thaa
Iftikhar Arif
Sher
javaab aa.e na aa.e savaal uThaa to sahii
phir is savaal me.n pahluu na.e savaal ke rakh