SEARCH RESULTS
Showing search results for "ta.ana-e-qaatil"
Sher MATCHES FOR "ta.ana-e-qaatil"
Sher
kyuu.n shariik-e-Gam banaate ho kisii ko ai 'qatiil'
apnii suulii apne kaa.ndhe par uThaa.o chup raho
Qateel Shifai
Sher
tark-e-vafaa ke baa'd ye us kii adaa 'qatiil'
mujh ko sataa.e ko.ii to us ko buraa lage
Qateel Shifai
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
haa.n ahl-e-talab kaun sune taana-e-naa-yaafat
dekhaa ki vo miltaa nahii.n apne hii ko kho aa.e
Mirza Ghalib
Sher
zo.af me.n ta.ana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Sher
ta.ana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soKHta-jaa.n
shiddat-e-tishna-labii se bhii bahak jaate hai.n
Ahmad Faraz
Sher
Hasrat Mohani
Sher
ek ko ek nahii.n rashk se marne detaa
ye nayaa kuucha-e-qaatil me.n tamaashaa dekhaa
Sharaf Mujaddidi
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
ye baat sach hai ki marnaa sabhii ko hai lekin
alag hii hotii hai lazzat nigaah-e-qaatil kii
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
Sher
nazzaara-e-qaatil ne kiyaa mahv ye ham ko
gardan pe chamaktii hu.ii shamshiir na suujhii
Muzaffar Ali Aseer
Sher
tez kab tak hogii kab tak baa.Dh rakkhii jaa.egii
ab to ai qaatil tirii shamshiir aadhii rah ga.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
us sitam pesha kaa e.ajaaz-e-sitam hii hogaa
dast-e-qaatil ko agar dast-e-masiihaa likkhuu.n
Sharar Fatehpuri
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
aql kahtii hai na jaa kuucha-e-qaatil kii taraf
sarfaroshii kii havas kahtii hai chal kyaa hogaa
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Sher
jam gayaa KHuu.n kaf-e-qaatil pe tiraa 'miir' zi-bas
un ne ro ro diyaa kal haath ko dhote dhote