SEARCH RESULTS
Showing search results for "taa.ir-e-shaakh-e-nasheman"
Sher MATCHES FOR "taa.ir-e-shaakh-e-nasheman"
Sher
na nasheman hai na hai shaaKH-e-nasheman baaqii
lutf jab hai ki kare ab ko.ii barbaad mujhe
Arsh Malsiyani
Sher
mai.n adh-maraa gulaab sar-e-shaaKH-e-niim-jaa.n
haatho.n se tuu ne mujh ko sa.nvaaraa to mai.n gayaa
Ashfaq Shaheen
Sher
is gulistaa.n kii yahii riit hai ai shaaKH-e-gul
tuu ne jis phuul ko paalaa vo paraayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
Yaqoob Yawar
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
Humaira Rahat
Sher
har KHvaab shikasta hai ta.amiir-e-nasheman kaa
har sub.h ke maathe par baazaar kii garmii hai
Afroz Alam
Sher
bataa nasiib-e-nasheman mai.n kyaa du.aa maa.nguu.n
jo aasmaa.n kii taraf raushnii nazar aa.e
Shauq Asar Rampuri
Sher
kahii.n bhii taa.ir-e-aavaara ho magar tai hai
jidhar kamaa.n hai udhar jaa.egaa kabhii na kabhii
Syed Amin Ashraf
Sher
taa.ir-e-aql ko ma.azuur kahaa zaahid ne
par-e-parvaaz me.n tasbiih kaa Doraa baa.ndhaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
shaaKH-e-mizhgaa.n pe mahakne lage zaKHmo.n ke gulaab
pichhle mausam kii mulaaqaat kii buu zinda hai
Shahid Kamal
Sher
vo KHaar KHaar hai shaaKH-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKHm zaKHm huu.n phir bhii gale lagaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Sher
shaaKH-e-uriyaa.n par khilaa ik phuul is andaaz se
jis tarah taaza lahuu chamke na.ii talvaar par
Mohsin Naqvi
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
kamaan-e-shaaKH se gul kis hadaf ko jaate hai.n
nasheb-e-KHaak me.n jaa kar mujhe KHayaal aayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
vo shaaKH-e-gul pe rahe.n yaa kisii kii mayyat par
chaman ke phuul to aadii hai.n muskuraane ke
Unknown
Sher
lete hai.n samar shaaKH-e-samarvar ko jhukaa kar
jhukte hai.n saKHii vaqt-e-karam aur ziyaada