SEARCH RESULTS
Showing search results for "taarii"
Sher MATCHES FOR "taarii"
Sher
Allama Iqbal
Sher
aaj tak us kii mohabbat kaa nasha taarii hai
phuul baaqii nahii.n KHushbuu kaa safar jaarii hai
Shahzad Ahmad
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
bahaa hai phuuT ke aa.nkho.n se aabla dil kaa
tarii kii raah se jaataa hai qaafila dil kaa
Dulhan Begum
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ek manzar hai ki aa.nkho.n se saraktaa hii nahii.n
ek saa.at hai ki saarii umr par taarii hu.ii
Aftab Hussain
Sher
dil-e-betaab tarii yaad se paataa hai sukuu.n
zindagii tere tasavvur se sa.nvar jaatii hai
Mohammad Fareed Khan Tanvir
Sher
ik KHauf saa daraKHto.n pe taarii thaa raat-bhar
patte laraz rahe the havaa ke baGair bhii
Fuzail Jafri
Sher
vahii na ho ki ye sab log saa.ns lene lage.n
amiir-e-shahr ko.ii aur KHauf taarii kar
Idris Babar
Sher
taarii hai har taraf jo ye aalam sukuut kaa
tuufaa.n kaa pesh-KHema samajh KHaamushii nahii.n
Umar Ansari
Sher
Khursheed Rizvi
Sher
aayaa hai mire dil kaa Gubaar aa.nsu.o.n ke saath
lo ab to hu.ii maalik-e-KHushkii-o-tarii aa.nkh
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
vasl ko maa.n ke taraste hai.n mire bachche bhii
kaifiyat hijr kii mujh par hii nahii.n taarii hai
Sabir Aafaque
Sher
dil o nigaah pe taarii rahe fusuu.n us kaa
tumhaaraa ho ke bhii mumkin hai mai.n rahuu.n us kaa
Akhtar Razaa Saleemi
Sher
Mohsin Asrar
Sher
tere ruKHsaaro.n se duniyaa raushan thii
kaise ho ga.ii zulmat taarii hairat hai
Ghulam Mohammad Vamiq
Sher
the bayaabaan-e-mohabbat me.n jo giryaa.n aah ham
manzil-e-maqsuud ko pahu.nche tarii kii raah ham