SEARCH RESULTS
Showing search results for "taariiKHo.n"
Sher MATCHES FOR "taariiKHo.n"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
diidaar kii talab ke tariiqo.n se be-KHabar
diidaar kii talab hai to pahle nigaah maa.ng
Azad Ansari
Sher
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr me.n eid kii taariiKH badal jaa.egii
Jaleel nizami
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
Kashif Husain Ghair
Sher
sirf taariiKH kii raftaar badal jaa.egii
na.ii taariiKH ke vaaris yahii insaa.n ho.nge
Rais Amrohvi
Sher
tamaam shahr ko taariikiyo.n se shikva hai
magar charaaG kii bai.at se KHauf aataa hai
Aziz Nabeel
Sher
Andaleeb Shadani
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
tanhaa.iyo.n ko sau.np ke taariikiyo.n kaa zahr
raato.n ko bhaag aa.e ham apne makaan se
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
tum jo kuchh chaaho vo taariiKH me.n tahriir karo
ye to neza hii samajhtaa hai ki sar me.n kyaa thaa
Irfan Siddiqi
Sher
siyaahii phertii jaatii hai.n raate.n bahr o bar pe
inhii taariikiyo.n se mujh ko bhii hissa milegaa
Sarvat Husain
Sher
Kashif Husain Ghair
Sher
taariiKH-e-junuu.n ye hai ki har daur-e-KHirad me.n
ik silsila-e-daar-o-rasan ham ne banaayaa
Nushur Wahidi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
haadse apne tariiqo.n se guzarte hii rahe
kyo.n hu.aa aisaa ye ham tahqiiq karte hii rahe
Akbar Allahabadi
Sher
taariiKH bataa.egii vo qatra hai ki dariyaa
aa.nsuu hai abhii vaqt ke qadmo.n me.n pa.Daa hai
Afroz Alam
Sher
likkhaa hai taariiKH ke saf.he saf.he par ye
shaaho.n ko bhii daas banaayaa jaa saktaa hai